Aaghosh-e-sitam main hi chupa le koi aakar.

Aaghosh-e-sitam main hi chupa le koi aakar.
Tanhaa Tu Tarrapney se bacha le koi aakar.

Sehra may Ugaa hon k meri chawo koi paley.
Hiltaa hoon ke pattoon ki hawa le koi aakar.

Bikta tu nahi hoon na mere daam bohut hay.
Raste main parra hoon ke uttha le koi aakar.

Kishti hoon mujhe koi kinaare se tu kholein.
Toofaan ke hi kar jaaye hawaale koi aakar.

jab Kinch lia he muje maidan-e-sitam main.
Dil khool key hassrat bhi nikaaley koi aakar.

Do chaar kharaasho se ho taskin-e-jafa kia.
shisha hoon tu pathar pe Uchaale koi aakar.

Mere kissi Ehssaan ka Badlaa na Chukaaye.
Apni hi Wafaawoon kaa Sillaa ley koi aakar.

itna tu ho, patraaye hoye ashk pigal jayien.
Apnaa hi mujhey Dard Sunaa ley koi aakar.

har sar hay zakham, har haath hay pathar.
is sheher main kis kis ko sambhale koi aakar.

Sar ko na Adeem aake koi shakhs sambhale.
Deewaar hi Girney Sey Bachaley koi aakar.

Post a Comment

0 Comments