ab ye hogaa shaayad apani aag men Khud jal jaayenge
tum se duur bahut rah kar bhi kyaa paya kya paayenge
dukh bhi sache sukh bhi sache phir bhi teri chaahat men
ham ne kitane dhoke khaaye kitane dhoke khaayenge
aql pe ham ko naaz bahut thaa lekin ye kab sochaa thaa
ishq ke haathon ye bhii hogaa log hamen samajhaayenge
kal ke dukh bhi kaun se baqi aaj ke dukh bhi kai din ke
jaise din pahale kaaTe the yeh din bhii katt jaayenge
ham se abla-paa jab tanha gabrayenge sahara mein
raastey sab tere hii ghar kii jaanib ko mudh jaayenge
aaNkhon se ojhal honaa kyaa dil se ojhal honaa hai
muj se chuut k bi ahal-e-Gam kia tujh se chuut jaayenge
0 Comments