tapti hui raahon pe phiraaya mujhe din bhar

tapti hui raahon pe phiraaya mujhe din bhar
yoon tere tasawur ne sataya mujhe din bhar

dil main wo kasak chorr gaya subha ka taara
ik lamha bhi aaraam na aaya mujhe din bhar

wiraan bayabn main,kabhi ujrre gharon main
phirta raha le kar tera saaya mujhe din bhar

deti rahi chaandni shab bhar mujhe aawaaz
sooraj ne bhi reh reh k bulaia mujhe din bhar

har simt bhare sheher the kia jaanye phir bhi
tanhaai ke ehsaas ne khaaya mujhe din bhar

lehje main gani chaaon k paton ki zubaan main
payrroon ne tera haal sunaaya mujhe din bhar

aik pal main hi batlaa gaiin dam torrti kirnen
wo raaz jo ae "Sham" na paaya mujhe din bhar

Post a Comment

0 Comments