Har yaad ko yun zakham banatay nahin dil ka,

Har yaad ko yun zakham banatay nahin dil ka,
har Teer ko paivest rug-ge-jaan nahin kertay,

Yeh Maslaa Ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Merte hain to kuch aap pe ehsan nahin kerte,

Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhte rehtey hain paraishan nahin karte,

Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar pe gulo ko,
Itnaa bhi to qaatil ko pashaimaan nahin kartay,

Kub shamain jalaata hai shab-e-mah main koyi,
tu ayai to ham ghar main charaghan nahin karte,

Loogon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaibaan nahin kerte,

Hum tu chale aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghaalib ki tarah minnat-e-darbaan nahin kertay,

Post a Comment

0 Comments