unn ki palkoon par sitaarey apne hoontoon pe hansi.

Hairatoon ke sil-siley souz-e-nihaan tak aa gaye.
ham nazar tak chahte the tum tu jan tak aa gaye.

Naa-muraadi apni qismat gham rahi apnaa nissaab.
kaarwaan ki khair ho ham kaarwaan tak aa gaye.

unn ki palkoon par sitaarey apne hoontoon pe hansi.
Qissa-e-gham kehte kehte ham kahaan tak aa gaye.

apni apni justujoo hay apnaa apnaa shouq hay.
tum hansi tak bi na puhnche ham fughan tak aa gaye.

rafta rafta rang laya jazba-e-khamoshi-e-Ishq.
woh taghaful kartey kartey Imtihaan tak aa gaye.

khud tumhain chak-e-garibaan ka sha'ur aa jayega.
tum wahaan tak aa tu jaawo ham jahan tak aa gaye.

aaj QABIL maikadey main Inqilaab Aaney ko hay.
Ahl-e-dil Andesha-e-sud-o-ziyaan tak aa gaye.

Post a Comment

0 Comments