is tarah naheen kartay rabta to rakhtay hain.

is tarah naheen kartay rabta to rakhtay hain.
thorra milnay julnay ka silsilaa to rakhtay hain.

manzilain bulannd hon to mushkalain b ati hain. 
mushkilon say larrnay ka hosla to rakhtay hain.

jo tumhare apne hon tum se piyaar kartay hon. 
un ka hal kaisa hai? kuch pata to rakhtay hain.

doosti key Rishtay ko toorrthay naheen aisay!.
roothay dooston say bi wasta to rakhtay hain.

chorr jaanay walay aksar laot kar bhi atay hain.
lowt kar wo Aanay kaa rastaa to rakhtay hain.

Post a Comment

0 Comments