Kahin sehra kahin sookey shajar achy nhi lagtey.
Mujhe ab khwabzaaron ke safar achy nhi lagtey.
Jawabi khat me yun usne mere bare me lika tha.
Buraa bhi keh nahi sakty magr ache nahi lagtey.
Nahi masroof main itna ke ghar ka rasta bholon.
Koi jab muntazir na ho to ghar achy nahi lagtey.
smandr tairti lashon se ye kehta raha shab bhar.
muje bi doobne walo, bhanwar achy nahi lagtey.
nahee aisaa ke ab parwaaz ki taaqat nahi baaqi.
Meri ummeed ke panchi ko par ache nahi lagtey.
0 Comments