Sab khuloos baton mein, sab karam khaialon mein,

Sab khuloos baton mein, sab karam khaialon mein,
bas zara wafaa kam hai tere shehar waaloon mein.

Pehli baar nazaroon ne chaand boltay dekha,
Ham jawab kya dete kho gaye sawalon mein.

Raat teri yaadoon ne dil ko iss tarha chherra,
Jaise koi chutki ley naram naram gaalon mein.

Yuun kisi ki ankhon mein subha tak thay ham,
Jis tarha rahe shabnam phool ke piyalon mein.

Meri aankh key taaray abb naa dekh pawogey,
Ham raat ke musafir the kho gaye ujalon mein.

Post a Comment

0 Comments