main is khayal se mur mur ke dekhta hun ussay

jala kay tu bhi agar asraa naa day mujhko
ye khauf hai ke hawa phir bujha na day mujhko

main is khayal se mur mur ke dekhta hun ussay
bichar ke woh bhi kahin phir sada na day mujhko

bus is khayal say main shab bhar soo nahi sakta
ke khauf-e-khuwab-e-gushta jaga na day mujhko

teray baggair teri tarhaa main zindaa rahun
yeh hosla bhi dua'a kar khuda na day mujhko

main is liye bhi ussay khud manaoo ga MOHSIN
ke mujh say roothne wala bhula na day mujhko

Post a Comment

0 Comments