Us se milne ko kabhi hum jo machal jatay hain 

Us se milne ko kabhi hum jo machal jatay hain
Tou khayalon mai bohat door nikal jatay hain 

Gar waffaon mein sadaqat bhi ho shidatt bhi 
Phir to ehsas sai pather bhi pighal jatay hain 

Uski ankhon kai nashay mein hoon jab sai dooba 
Lar-kharatay hain qadam aur sambhal jatay hain 

Be-waffae ka jab bhi mujhay khayal aata hai 
Ashq ankhon sai rukhsar pai pighal jatay hain 

Payar mein aik hi mosam hai baharon ka Faraz 
Loog mowsam ki terah kaisay badal jatay hain ?

Post a Comment

0 Comments