Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jata
wo shakhs koi faisla kar bhi nahi jata
Dil ko teri chaahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujhse bichhaR janae ka dar bhi nahi jata
Aankhein hain ke khali nahi rehti hain Lahu se
aur zakhm-e-judaai hai ke bhar bhi nahi jata
Wo rahat-e-jaan hai magar is dar badari mein
aisa hai ke ab dhyaan udhar bhi nahi jata
Hum dohri aziyyat ke gariftaar musafir
paaon bhi hain shull shauq-e-safar bhi nahi jata
Paagal huye jate ho Faraz us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahi jata
0 Comments