Raabita Laakh Sahe Qaafila-e-Saalaar ke saath.

Raabita Laakh Sahe Qaafila-e-Saalaar ke saath.
hum ko chalna he magar waqt ki raftar k saath .

gham lagay rahtay hain har aan khushi k pichay .
dushmani dhoop ki hay saaya e deewar k saath.

kis tarha apni muhabbat ki main takmeel karoon .
gham e hasti bhi tau shaamil gham-e-yaar k saath .

lafz chuntaa hoon tau mafhoom badal jaata hay .
aik naa aik khouf bhi hay juraat-e-izhaar k saath .

bukhsh de mujhko bi aizaaz-e-masiha-o-mansoor .
mainay bhi piyaar kiaa hay rasan o daar k saath .

dusmanni mujhsay kiye jaa magar apnaa ban kar .
jaan ley ley meri sayyaad magar piyaar ke saath .

do gharrhi aawo mil aayein kissi ghalib se Qateel .
hazrat-e-zouq tau wabasta hain darbaar k saath.

Post a Comment

0 Comments