Qarz-e-nigah-e-yaar ada kr chukay hien hum
sab kuch nisar raah-e-wafa kar chukay hein hum
kuch imtihaan-e-dast-e-jafar kar chukay hien hum
kuch un ki dastrass ka pata chukay hein hum
ab ehtiyaat ki koi sorat nahi rahi ,
qatil say rasm-o-raah siwa kr chukay hien hum
dekhin hay koun koun, zarorat nahi rahi
Koaey sitam men sab ko khafa kr chukay hein
ab apna ikhtiyaar hay chahein jahan chalein
rahbar say apni raah juda kar chukay hein
un ki nazar mein , karin , pheeka hay ab bhi rang
jitna lahoo tha sarf-e-quba kr chukay hein hum
kuch apnay dill ki khuu ka bhi shukrana chahye
so bar un ki khuu ka gila kar chukay hein hum
0 Comments