Jo Mujh Se Poocha Hai Aaj Tum Ne
K Main Tumhara Hoon Kya Bataon
To Khud Hi Socho Tum Aik Pal Ko
Bhala Main Kaise Tumhain Bataoon
Hai Tum Se Mera Wohi Taalluk
Jo Apne Saye Se Hai Shajar Ka
Jo Khurshid Se Hai Qamar Ka
Gulon Se Hota Hai Jo Mehak Ka
Main Hoon Badan To Tum Is Ki Jaan Ho
Bahar Mausam Ke Tarjumaan Ho
Lahoo Kii Soorat Meri Ragon Mein
Herr Aik Lamha Rawan Dawan Ho
Namaz Hoon Mein To Tum Aazaan Ho
Zamin Hoon Main Tum Aasmaan Ho
Wahi Taalluk Hai Tum Se Mera
Jo Dil Se Hota Hai Dharknon Ka
Jo Husn Walon Se Dil Jalon Ka
Wohi Jo Sagar Se Sahilon Ka
Jo Rooh Se Hai Kissi Badan Ka
Hai Guftagoo Se Kissi Dahan Ka
Jo Baarishon Ka Zamin Se Hai
Ibaadaton Ka Jabin Se Hai
Wohi Taalluk Apne Darmiyan Hai
Tumi Baharon Ki Dilkashi Ho
Tumhi To Aankhon Ki Roshni Ho
Jo Sach Kahon Tum Meri Kushi Ho"
Tumi Ujaala Tumhi Saba Ho
Tumhi Aarzoo Tumhi Wafa Ho
Tamam Jazbon Kii Intiha Ho
To Kyon Naa Tum Pe Yeh Dil Fida Ho
Batao Jaana Hai Itna Kaafi.
Ke Aur Bhi Tumhain Kuch Bataaon.
Jo Ho Sake To Khayal Rakhna
Tumhara Mujh Se Wohi Hai Rishta
Malaika Se Jo Bandgi Ka
Jo Marne Wale Se Zindigi Ka
Samandaron ka jo Seep Se Hai
Wohi Jo Aankhon Ka Deep Se Hai.
0 Comments