Tuloo-e-subh-e-darakhshaa'n,, farogh-e-husn-e-bahaar...
Tere labo'n ka tabassum,, teri nazar ka khumaar...
Na tere dard ki aahat,, na mere wehem ka shor...
Bht dino se hai weeraa'n ghazal ki raahguzaar...
Khushii se chheen le meri mataa-e-fikr mgr...
Mere badan se ye malboos-e-aafiyat na utaar...
Khud apne fikr ki pastii pe dastaras hai mujhe...
Bulandiyo'n ka Khuda ban k mujhko yun na pukaar...
Wo maahtaab kahan chhup gya k jisne abhii...
Rukh-e-hayaat ko bakhsha tha chaandnii ka nikhaar...
Chalo k chal k tamasha-e-fasl-e-gul dekhen...
K jal rhe hain abhi jungalo'n me surkh chanaar...
Hazaar baar giri barq sheher pr MOHSIN...
Kisi k jism pe chamke na phool rang sharaar.
0 Comments