Khuwaab aankhon se nikalay bhi nahi ja satke
Aaeinay mujh se sambhale bhi nahi ja satke
Ye mere ashk, ye jugnoo, ye chamaktay sikkay
Shab k kashkaul mein daaley bhi nahi ja satke
Chaukrri bhartay huwe lafz kahaan se laaon
Ye hiran mujh se to paaley bhi nahi ja satke
Meri jageer hai aqleem shab-e-terah mein
Uss jagah par to ujalay bhi nahi ja satke
Ghar mein tanhaai ko aabad kiya hai, Usman !
Dar-o-deewar se jaaley bhi nahi ja satke
0 Comments