Kashta e ishq hain lekin nahi haaray huway log
Hum hain ik dasht-e-tamanna k pukaaray huway log
Wo jo Milta, to ye aizaaz kahaan se milta
Hum mohabbat ki saleebon pe hain waaray huway log
Be'talab kis liye rehtay hain, bataayen kis ko
Ishq mein apni hi masnad se utaaray huway log
Na'rasaai mein bhi warftagi-e-jaa'n hai wohi
Hum hain khud apni shikaston k sanwaaray huway log
Kuch tumhein tamkanat-e-ishq ka andaaza nahi
Tum ny dekhay hi nahi hijr guzaaray huway log
Ab bhi aajaye to lagta hai k jee utheen ge
Is se takheer-e-maseehai k maaray huway log
Behar-e-hasti se inhen paar utarna hai magar
Mauj-e-gham saamnay aayi to kinaaray huway log
Zard chehray hain kitaabon ka muqadar Sarwer
Kya huway ahd-e-baharaan k nikharay huway log
0 Comments