Main kyon na tarak-e-taluq ke ibtada karta

Main kyon na tarak-e-taluq ke ibtada karta
Wo door dais ka baasi tha kya wafa kerta

Wo mairay zabat ka andaaza kernay aaya tha
Main hans kay zakham na khata to aur kya karta

Hazaar aaina khanoo main bhi paa na sakka
Wo aaina jo mujhe khud se aashanaa karta

Meri zameen tu agar mujh ko raas aa jati
Main rifatoon main tujhay aasaman sa kerta

Gham-e-jahan ki mohabbat lubhaa rahi thi mujhe
Main kiss tarah teri chahat pay aasraa kerta

Agar zubaan na katte tau shahar main Mohsin
Main pathron ko bhi ek roz hamnawaa kerta

Post a Comment

0 Comments