Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay

Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?

Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha To Mein
Pukaarta Raha us Ko Idhar Udhar Kaisay

Mein Jis Ke Hijar Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tu Hansa Mere Haal Per Kaisay

Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay

Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay

Post a Comment

0 Comments