zakhm ko phool to sar sar ko saba kahte hain

zakhm ko phool to sar sar ko saba kahte hain 
jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain 

kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale 
ab vahi log hamain aabla paa kahte hain 

koi batalao ke ik umr ka bichara mehboob 
ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain 

ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri 
ghamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain 

jab talak dooor hai tu teri parastish kar lain 
ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain 

kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko faraz 
wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain 

Post a Comment

0 Comments