Har taraf har jagah beshumar aadmi

Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi
Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi
Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi
Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi
Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak bekaraar aadmi

Post a Comment

0 Comments