Azal Se Hai Mohabbat Maawra Lafzo`n Ki Maala
Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai
Mohabbat Soch K Aakaash Par Baadal Ki Soorat Mein
Sada Parwaz Karti Hai
Kabhi Baarish Ki Boondo`n Mein Simat Kar Dil Ki Dharti Par
Utarti Hai,,, Bikharti Hai!
Ada Ley Kar SaBa Se Ye, Gulabo`n Se Mehak Ley Kar
Dhanak Se Rang Ley Kar Aur Sitaaro`n Se Chamak Ley Kar
Haseen Aanchal Banati Hai
Isi Aanchal Se Phir Khuwabo`n K Kachay Rang Sajati Hai
Mohabbat Aazmati Hai
Kabhi Ye Shayir Ban Kar Lafz Ki Hurmat Barhati Hai
Kabhi Ye Saaz Ban Kar Dheeray Dheeray Gungunati Hai
Sarapa Aankh Ban Jati Hai Ye Mehboob Ko Paa Kar
Anokha Lams Ban Jati Hai Koo-e-Yaar Mein Jaa Kar
Najanay Koan Sa Mantar Ye Parh Kar Holay Holay Se
Kisi Ki Band Palko`n Mein Bina Dastak Diye Yakdum
Utar K Ghar Banati Hai
Mohabbat Muskurati Hai
Ye Khushbu Hai Hamesha Phool Ki Saanso`n Mein Hoti Hai
Bana Dey Chaand Teri Shab Ko Jo Ye Aisi Moti Hai
Kasak Hai Daa`emi Is Mein Buhat Be Naam Lazzat Hai
Mohabbat Ki Yehi Tareef Hai K Mohabbat Hai
Mohabbat Ka Tumhein Idraak Ab To Ho Gaya Hoga
Ye Jo Zakhm Deti Hai Kabhi Sehnay Nahi Deti
Mohabbat Rooth Jaye To Kabhi Jeenay Nahi Deti
0 Comments