Aazmana hamain nahi aaya

Aazmana hamain nahi aaya
dil dukhna hamain nahi aaya

kia dain ilzam teri duniya ko
khud nibhana hamain nahi aaya

baat kuch is tarhan se bighri thi
phir banana hamain nahi aaya

fasla do kadam ka tha sara
bas mitana hamain nahi aaya

khowab maloom tha faraib hai ye
jag jana hamain nahi aaya

waqat ne berokhi nahi chori
aur manana hamain nahi aaya

sach hai koshish bhi kar k dekhi hai
muskurana hamain nahi aaya

ultay qadmon wo loat sakta tha
bas bolana hamain nahi aaya

dheep hum se wo kuch bujha aesa
phir jalana hamain nahi aaya

sab pokarain hain aftab magar
jhagmagana hamain nahi aaya

kuch hai pechida baat ABRAK ki
kuch batana hamain nahi aaya

Post a Comment

0 Comments