Haal mazi se hum bhigote hain

Haal mazi se hum bhigote hain
jo na apna tha usko rote hain

Aaq kar k jahan ki sab khushiyan
ghum mein khub ghum naye pirote hain

khowab totay ki khirchiyan chuntay
umar bhar jagte na sotay hain

rondtay khub bahar aagan ki
beejh kyun khud khizan k botay hain

ghomshoda ki talash mein nadan
Humsafar ko bhi apne khotay hain

doriyan bhi aazab hain lekin
kam kahan qurb par ye hotay hain

had hai dewangi ki ye ABRAK
dhagh ko dhagh hi se dhotay hain

Post a Comment

0 Comments