Mere hamsafar teri nazar mein mere jazba e dil ki yeh shiddatain

Mere hamsafar teri nazar mein 
mere jazba e dil ki yeh shiddatain

Meri chaah meri muhabbatain 
mere sajday meri ibaadatain

Woh jo saath chalne ka khwaab tha 
kaheen reh gaya kaheen kho gaya

Kaheen kho gaya mera hamsafar 
raheen paas ab na woh chaahatain

Woh gulaab thay ke khwaab thay 
tere harf harf mein khitaab thay

Tera taaza khat bhi mila magar 
nahi is mein pehli si shiddatain

Mere chaand tu hi bata mujhe 
kahaan hai woh mera zamaana e saaz

Kahaan thak ke reh gaya karwaan 
kahaan reh gaeen meri sangatain

Woh jo mausamoon ka habeeb tha 
meri pyasi aankh ka khwaab tha

Woh mujhe ab bhi azeez hai
karay dil per ab bhi hukomattain

Post a Comment

0 Comments