ab ye khwaish hai k ye zakham bhi kha kar dekhein

ab ye khwaish hai k ye zakham bhi kha kar dekhein
lamha bhar hi sahi.. usko bhola kar dekhein

seher mein jashan shab e qadr ki raat aai
aaj hum bhi tere milne ki dua kar dekhein

andhiyon se jo olajhne ki kasak rakhte hain
eik diya teez hawa mein bhi jala kar dekhein

kuch to aawara hawaon ki thakan khatam karein
apne kadmon k nishan ap mita kar dekhein

zindagi ab tujhe sochein bhi to dam gutta hai
hum ne chaha tha kabhi tujh se wafa kar dekhein

jin k zarron mein khizan hanp k so jati hai
aesi qabron pe koi phool saja kar dekhein

dekhna ho to mohabbat k azadaron ko
nashanai ki dewar gira kar dekhein

yon bhi duniya hamein makruz kiye rakhti hai
dast e qatil tera ehsan bhi utha kar dekhein

rone walon k to humdard bohat hai mohsin
hanste hanste kabhi duniya ko rola kar dekhein

Post a Comment

0 Comments