apka hosla jo hai dil mein


ishq weham o guma mein rehta hai
mere hi jisam o jaan mein rehta hai

apka hosla jo hai dil mein
kon tote makan mein rehta hai

apko bhole ek umar hoi
taskara kyun bayan mein rehta hai

meharban lakh par mera ye dhiyan
eik hi meharban mein rehta hai

ishq basi hai eik sehra ka
kab kisi gulsitan mein rehta hai

aaqal aur main to muttafiq hain magar
eik dil darmiyan mein rehta hai

jane kia bad'dua hai is dil ko
har ghari imtehan mein rehta hai

wo dhobota hai lazman eik din
tufaan jo badbaan mein rehta hai

jis ko samjha tha ye jahan Abrak
jane ab kis jahan mein rehta hai

Post a Comment

0 Comments