eik chop mein hazar sukh paye


kahan raste mile isay dar k
sahed ne dekha kia nahi kar k

hai ghari wo k sans rok jaye
aur ilzam is pay sar sar k

eik chop mein hazar sukh paye
thak gaya tha main shor kar kar k

kia ghazab hai k zindagi meri
aur jeeta hon mein hi dar dar k

moat hi de gi ab nijaat yahan
tang aaya hon roz mar mar k

saray noksan hain wahin pay kharay
umar guzri thi jin ko bhar bhar k

shehar Abrak jo khud basaye the
aaj dhoshman howay teray ghar k

Post a Comment

0 Comments