raat jo umar bhar nahi katti


apne haalat ko jiya main ne
aur teri zaat ko jiya main ne

zindagi eik tawil qissa thi
chand safhat ko jiya main ne

kaise kab kyun hoi qayamat ye
in sawalat ko jiya main ne

raat jo umar bhar nahi katti
bas isi raat ko jiya main ne

hum tere ho chokay sada k liye
teri is baat ko jiya main ne

jaan jab jisam se nikalti hai
is molakat ko jiya main ne

jeet samjhe the jis ko tum apni
teri is maat ko jiya main ne

hain jo zinda to bas samajh lijiye
kuch kamalat ko jiya main ne

kia bhala ishq ki majhal Abrak 
apni aadat ko jiya main ne

Post a Comment

0 Comments