chal aa mohabbat ki baat kar lain


chal aa mohabbat ki baat kar lain
Chal aa himaqat ko yaad kar lain
Main phir se khali khattoot likhun 
Tu phir se gum sum jawab bhejay 

Zaban k tallay na khol payein 
go nazrain apni na kuch chupain
Tu bethi sochay k kya kahun ga
Main bas ye sochon k kia kaha hai.?

Na poochay tu ye, na main bataon
Magar yakeen ho k hai muhabbat
Jo chaar din ki hoon durian phir
Youn jhoot hans hans, ye dil jalain

Na saans aye k tum nahi ho
Na dil ye dharkay k tum nahi ho
Jis eid par na salam bhejon
Wo eid zalim na hum manayein

Phir imtehanon k din jo aayein
Kittab kholo to hum satyain
Yahi hon fikrain k ab kya ho ga
kia mil sakain gi ye apni rahain

Phir aik din main kamal kar doon
Bulaon tum ko sawal kar doon
Main sochon ab bhi k chup suno ga
To poche kyun itni dair kar di
Main tum se phir bhi jawab mangun
Tu hans k pochay , jawab de don.!

Main mangoon wada phir umer bhar ka
Tu keh day k jao, kiya hai wada
Ye wada laykar main muskuraon
Na is se agay main soch paon

Hai ab bhi waday ka pass mujh ko
Main ab bhi kuch nahi sochta hun
Main ab bhi khali khatoot likhun
Main ab bhi gum sum jawab mangun

Main ab bhi ro dun muhabaton ko
Main ab bhi hans don himaqaton ko
Main ab bhi tujh se hun rooth jata
Main ab khud ko hoon khud manata 

Post a Comment

0 Comments