Woh Nahi Mera Magar Usse Mohabbat Hai To Hai


Woh Nahi Mera Magar Usse Mohabbat Hai To Hai

Yeh Agar Rasmo Riwajo Se Bagawat Hai To Hai,


Sach Ko Maine Sach kaha Jab Kah Diya Toh Kah Diya,

Ab Zamane Ki Nazar Mein Yeh Hamaaqat Hai To Hai,


Dost Bankar Dushmano Sa Satata Hai Mujhko,

phir bhi Us pathar dil pe marna apni fitrat  Hai To Hai,


Kab Kaha Maine Ki Woh Mil Jaye Mujhko,

Uski Baaho Mein Dam Nikle itni Hasrat Hai To Hai,


jal gaya parvana to usme shama ki kya khata.

yun raat bhar jalna jalaana uski kismat 
Hai To Hai


Woh Saath Hai Toh Zinda Hoon Main,

Meri Saanso Ko Uski zarurat Hai To Hai


dur the,dur renhenge har dum ye zamein asmaan.

duriyon ke baad bhi dil mein kurbat 
Hai To Hai


maine kab kaha tu mil hi jaye mujhe.

par gair na ho jaye itni hasrat 
Hai To Hai

Post a Comment

0 Comments