tujhe pala. tujhe posa. tujhe paida kia main ne

tujhe pala. tujhe posa. tujhe paida kia main ne
mujhe phir maa bolane mein tujhe kyun sharam aati hai

wo jitna farz tha mera. wo sab pora kia main ne
mera haq ab dilane mein tujhe kyun sharam aati hai

kabhi ho ga galat bhi kuch jo tujh ko keh diya ho ga
isay bas bhol jane mein tujhe kyun sharam aati hai

bohat rishte hain tere ab. magar maa. maa hi hoti hai
taruf ye karane mein tujhe kyun sharam aati hai

bohat jahil hai teri maa. tujhe kabil banaya par
jahan ko sach batane mein tujhe kyun sharam aati hai

bohat weraan hai ye dil. bohat benoor hain aankhein
zara surat dikhane mein. tujhe kyun sharam aati hai

tere qadmon tale duniya. mere qadmon tale jannat
to ghar  jannat ye lane mein tujhe kyun sharam aati hai 

Post a Comment

0 Comments