loat kar chalay aao

loat kar chalay aao
baat hi to karni hai
hum ne teri banhon main
raat hi to karni hai
tum to keh gaye thay naa
sath chal nahi saktay
baat kr nahi saktay
raat kar nahi saktay
kya karen k dil pagal
kuch nahi samjh paya
kuch samjh nahi sakta
hum magar juda tum se
zaat kr nahi saktay
tujh se hatt k koi bhi
baat kar nahi saktay
tum se hum juda yeh din
raat kar nahi saktay
hum bohot pareshan hain
tum nazar nahi atay
hum udaas rehtay hain
hum ne thaan li janan
har khushi tumharay ab
sath ho to karni hai
loat kr chalay ao
baat hi to karni hai

Post a Comment

0 Comments