udasiyon ka ujaar mosam kabi sataye to mujh se kehna

udasiyon ka ujaar mosam kabi sataye to mujh se kehna
na in andheron main hath tum se koi milaye to mujh se kehna

mujhay yakeen hai k mujh se barh kr tumhain kisi ne nahi hai chaha
meri tarah se koi tumhain jab galay lagaye to mujh se kehna

yeh ban sanwar kr jo tum ne mathay pe aik jhoomar saja liya hai
magar sajaya tha jesa main ne koi sajaye to mujh se kehna

muhabbaton main azaab lagta hai hijr lekin nahi hai aisa
magar nazar se firaaq teri nazar milaye to mujh se kehna

na har kisi per yakeen karna bagher sochay bagher samjhay
tumhain koi bhi jo mere baray main kuch bataye to mujh se kehna

meri teri yadon ki akhri hadd main naqsh aisay hua hon jaanan
khyaal mera tumhain jo ik pal bhi bhool jaye to mujh se kehna

bohot kaha tha yakeen rakhna k zain tum se juda nahi hai
agar zara sa bhi meri baton main farq aye to mujh se kehna

Post a Comment

0 Comments