Hausla Haar Ke Bethoon Ga To Mar Jaon Ga

Manzilen lakh kathan ayen guzar jaon ga
Hausla Haar Ke Bethoon Ga To Mar Jaon Ga

chal rahe the jo mere sath kahan hain woh log
Jo yeh kehte the ke raste mein bikhar jaon ga

Darbadar hone se pehle kabhi socha bhi na tha
ghar mujhe raas na aaya to kidhar jaon ga

Yaad rakhe mujhe duniya teri tasveer ke sath
Rang aese teri tasveer mein bhar jaon ga

Lakh roken yeh andhere mera rasta lekin
Main jidhar roshni jaye gi udhar jaon ga

Raas aayi na mujhe mohabbat warna saqi
Main ne socha tha ke har dil mein utar jaon ga

Post a Comment

0 Comments