Us ke nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahin

Us ke nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahin
Mutmayin aesa hai jese howa kuch bhi nahi

Ab to hathon ki lakeeren bhi mitti jati hain
Uss ko kho kar to mere pas raha kuch bhi nahi

Kal bicharna hai to phir ehd e wafa soch ke bandh
Abhi aaghaz e mohabbat hai gaya kuch bhi nahi

Main to is waste chop hoon ke tamasha na bane
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi

Ae Shumaar Ankhein isi tarah bichaye rakhna
Jane kis waqt woh aa jaye pata kuch bhi nahi

Post a Comment

0 Comments