Ab woh tohfan hai na wo shorr hawaon jaisa

Ab woh tohfan hai na wo shorr hawaon jaisa
Dil ka alam hai tere bad khalao jaisa

kash duniya mere ehsas ko wapis kar de
Khamoshi ka wohi andaz sadaon jaisa

Pas Reh Kar Bhi Hamesha Wo Bohat Door Mila
Uska Andaz-e-Taghaful Tha Khudaon 

Kia qayamat hai k duniya usay sardar kahe
Jis ka andaz e sukhan hai gadaon jaisa

Phir teri yaad ke mosam ne jagaye mehsaar
Phir mere dil mein utha shorr hawaon jaisa

Post a Comment

0 Comments