Karo ge kia bicharna parh gaya to

Karo ge kia bicharna parh gaya to
Mohabbat se mokarna parh gaya to

Tumhein hum jaan samajte hain kisi din
Hamain jaan se guzarna parh gaya to

Falak zadon batao kia karo ge
Zamein par paon dharna parh gaya to 

Jisay mohtti mein rakhte ho ussi ki
Lakhiron se nikalna parh gaya to

Mohabbat reza reza chun rahe ho
Jo is ko phir bikharna par gaya to

Taluq ki jis chonti par hum hain
Mujhe tanha utarna par gaya to

Woh pathar ban ke betha hai khafa sa
Agar pathar par jharna par gaya to

Post a Comment

0 Comments