Ab to khwahish hai ke ye zakham bhi kha kar dekhein

Ab to khwahish hai ke ye zakham bhi kha kar dekhein 
lamha bhar ko he sahi usko bhula kar dekhein 

sheher mein jashn e shab e qadar ki saat aayi hai 
aaj hum bhi tere milne ki dua kar dekhein 

zindagi Ab tujhe sochain bhi to dam ghutta hai 
hum ne chaha tha kabhi tujh se wafa kar dekhein 

rone walon ke to hamdard buhat hain Mohsin 
hanste hanste kabhi duniya ko rula kar dekhein

Post a Comment

0 Comments