Sakon bhi khawab howa. Neend bhi hai kam kam phir
Qareeb aane laga doriyon ka mosam phir
Bana Rahi Hai Tere Yaad Mujhe Silk-e-Gehar
Pero Gaye Mere Palkon Mein Aaj Shabnam Phir
Wo Naram Lehjay Mein Kuch Keh Raha Hai Phir Mujh Se
Cherha Hai Pyar Ke Komal Saron Mein Mudham Phir
Tujhe Manaon Ka Apni Aana Ki Baat Sunon
Ulajh Raha Hai Mere Faislon Ka Resham Phir
Na Is Ki Baat Main Samjhon Na Woh Mere Nazrien
Mamelat-e-Zabaan Ho Chaly Hain Mubham Phir
Ye Aany Wala Naya Dukh Bhi Us Ke Sar Hi Gaya
Chatakh Gaya Mere Angushtari Ka Neelam Phir
Wo Aik Lamha Ka Jab Saary Rang Aik Houe
Kisi Bahar Ne Deekha Na Aisa Singham Phir
Bohat Azeez Hain Aankhien Meri Usay Lekin
Wo Jaate Jaate Unhien Kar Gaya Hai Purnam Phir
0 Comments