Musalmanon ka shewa hai Muhammad se wafa karna

Musalmanon ka shewa hai Muhammad se wafa karna
Namaz-e-Ishq talwaron ke saye mein ada karna

Hamein imaan ka matlab bas itna hi samaj aya
Rasool-e-pak ki hurmat pe tan man dhan fida karna

Jisse katna nahi ata hai namoos-e-risalat per
badan pe bohj hai woh sar, utha ke bohj kya karna

Nisab-e-deen ka pehla baab hi ishq-e-risalat hai
maqam-e-Mustafa se hai jahan ko ashana karna

Raheem un sa Kareem un sa hua na taa-abad hoga
ke unki shaan-e-rehmat hai buron se bhi bhala karna

Ragon mein khoon ki surat rawan unki muhabbat hai
yeh woh lafaani jazba hai, nahi mumkin fanaa karna

Kaha Quran ne Malik, Mala’ik ki yeh sunnat hai
Nabi ke naam-e-nami ko nazar salle ala karna

Sunehri khulq Ahmad se hui tareekh insaani
sitam seh kar sitamgar ki hidayat ki dua karna

Agar hubb-e-Nabi mein aazmaish ki ghari aaye
Dua Afzaal ki Maula hamein sabit khara karna

Post a Comment

1 Comments