Halat e haal ke sabab halat e haal hi gayi
Shauq main kuch nahin geya shauq ki zindagi gayi
Tera firaaq jan-e-jan aish tha kya mere liye
Yaani tere firaaq main khoob sharab pee gayi
Tere visaal ke liye apne kamaal ke liye
Halat-e-haal dil ke thi kharaab aur kharaab ki gayi
Us ki umeed-e-naaz ka hum se yeh maan tha ke aap
Umar guzaar dijiye umar guzaar di gayi
Ek hi haadsa to hai aur woh ke aaj tak
Baat nahin kahi gayi baat nahin suni gayi
Baad main tere jan-e-jan dil main raha ajab samaan
Yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gayi
Us ke badan ko numuud hum ne sukhan main aur phir
Us ke badan ke vaastay aik qabaa bhi see gayi
Mina-ba-mina maiy-ba-maiy jam-ba-jam jam-ba-jam
Naf piyaale ki teri yaad ajab sahi gayi
Kehni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
Aap ke shehere-vassl main lazzat-e-hijar bhi gayi
Sehn-e-khayal -e-yaar main ki na bassar shab-e-firaq
Jab se woh chaand na geya jab se woh chaandni gayi
0 Comments