Bara dushwar hota hai


"Bara dushwar hota hai"
""Zara sa faisla kerna""

k jeevan ki kahani ko..
beyan-e-bezubani ko..

kahan se yaad rekhna hai..
kahan se bhool jana hai..

kise kitna batana hai..
kis se kitna chupana hai..

kahan hans hans k rona hai..
kahan awaz deni hai..
kahan khamosh rehna hai..

kahan rasta badalna hai..
kahan se lout aana hai..

"Bara dushwar hota hai"
""Zara sa faisla kerna""

Post a Comment

0 Comments