Gum sum si Rah'guzar thi, Kinara Nadi Ka tha

Gum sum si Rah'guzar thi, Kinara Nadi Ka tha
Pani Mein chand, chand Mein chehra Kisi Ka tha

Ab Zindagi Sanbhal k Leta he Tera Naam
Yeh Dil ki Jis ko Shoq Kabhi Khud Kushi ka Tha

Kuch abar bhi the banjh Zameen Se darey huwe
Kuch zaiqa hawa Mein Meri Tashnagi ka tha

Kehne Ko dhoond'te the Sabhi Apne Khad-o-Khaal
Warna Meri Ghazal Mein tu sab Kuch Ussi Ka tha

Woh Ahtiyat-e-Jaan Thi k Be Rabtaee Khayal
Saye pe Bhe Guman Mujhay Aadmi Ka Tha

Mushkil Kahan the Tarq-e-Muhabbat Ke Marhaley
Aye dil Magar Sawaal Teri Zindagi Ka tha

Woh Jis Shakhs Ki Dosti hii Matta-e-Khaloos thi
Mohsin woh Shakhs bhi Mera Dushman Kabhi Ka tha 

Post a Comment

0 Comments