woh dilaawar jo siyah shab k shikaari niklay,

woh dilaawar jo siyah shab k shikaari niklay,
woh bhi charrhtay huye s0oraj k pujaari niklay,

sb k h0nton pe mere bad hain baaten meri,
mere dushman mere lafzon k bhikaari niklay,

ik janaaza utha maqtal se ajab shaan k sath,
jesy saj kr kisi faateh ki sawaari niklay,

ham ko har daur ki gardish ne salaami di hy,
ham woh pathar hyn jo har daur me bhaari niklay,

aks koi ho khad-o-khaal tumhary daikhun,
bazm k0i ho magar baat tumhari niklay,

apnay dushman se main be wajah khafa tha M0HSIN,
mere qatil to mere apnay hawaari niklay. . . . 

MOHSIN NAQVI

Post a Comment

0 Comments