Chahaton mei logon se kya khata nahi hoti.

Roothna khafaa rehnaa,Ye wafaa nahi hoti.
Chahaton mei logon se kya khata nahi hoti.

Sab ko aik jaisa kiun tum samjhne lagte ho.
Kiun ke saari duniyaa to bewafaa nahi hoti.

Har aik se yaari karna har kissi se waadey!.
Pyaar karney waloon mei ye adaa nahi hoti.

Be-naqaab chehrey bhi ik hijab rakhte hein.
Sirf saat pardoon mein tou hayaa nahi hoti.

sab kuch kho dia tumhare pyar mei hum ne.
Kiyaa Yeh Bhi Chaahat Ki Intehaa Nahi hoti.

Post a Comment

0 Comments