Bolay Tou Sahi, Jhoot He Bolay Woh Bala Say

Ek Moja-E-Sehba-E-Junoon Taiz Bohat Hai
Ek Saans Ka Sheesha Hai Keh Labraiz Bohat Hai

Kuch Dil Ka Lahoo Pee K Bhi Faslein Hain Shadaab
Kuch Yun Bhi Zameen Gaaon Ki Zarkhaiz Bohat Hai

Palko’n Pe Charaghon Ko Sanbhalay Howay Rakhna
Is Hijr K Maosam Ki Hawa Taiz Bohat Hai

Bolay Tou Sahi, Jhoot He Bolay Woh Bala Say
Zalim Ka Lab-O-Lehja DilaAawaiz Bohat Hai

Kiya Us K Khad-O-Khal Khulein Apni Ghazal Mein
Woh Shehar K Logo’n Mein Kam-Aamaiz Bohat Hai

"Mohsin" Usay Milna Hai Tou Dukhnay Do Yeh Aankhein
Kuch Aur Bhi Jaago Keh Woh ''Shab-Khaiz'' Bohat Hai

Post a Comment

0 Comments