Tasveer me nahi ho phir rang kia baron main

Tasveer me nahi ho phir rang kia baron main
Mumkin nahi ho jab tum kiya khowaishain karon main

Apne jo chor jayein apno ko raston me
Gehron pay zumedari ilzam kia dharon main

Ab bhi yaqeen nahi hai Tu ne hi sab kia hai
Kuch hai teri safai ya khud se kuch gharon main

Phir Nem-jaan hon main phir muntazir hon tera
Jaldi se war kar day khud se na gir paron main

Duniya ko dekhta hon kia khub hai thikana
Phir khud se pochta hon jeyon k ab maron main

Post a Comment

0 Comments