Kaho, Kia Jal Raha He Phir Jahan Men Aashiyan UsKa
Nahi jab dil sisakta hai to uthta hai dhowan us ka
Bhala kyun phool ki pehchan banti hai mehak uski
Suno suraj ki kirno se hi milta hai nishan uska
Kaho kia raahe ulfat me dil o jan war sakte hain
Suno dil ki zameen iski nazar ka aasman uska
Bhala kab deni parhti hai wazahat samne sab k
Pata jab pochti hai aa k hum se doriyan uska
Khata dono ki thi lekin saza kyun eik ne pai
Suno tanha tha dil apna magar sara jahan uska
Suno us bewafa ki yaad to aati nahi ho gi
Suno dil rok sa jata hai jo aata hai dhiyan uska
Suno wo har jaga ja kar tumhain badnaam karta hai
Kaha ye jaan salamat hai raahe jari bayan uska
Bichar k kia kabhi socha us se milne k baray me
Suno dharti k hum basi falak par hai makan uska
0 Comments