Teri Ankhon Men Fasl-E-Hijer Kesay Bo Gia Koi

Teri Ankhon Men Fasl-E-Hijer Kesay Bo Gia Koi
Mujhe apna bana kar ab kisi ka ho gaya koi

Laho jaise howe hain aashq tere kis tarhan bolo
Bataya cheedh mere dil k aandar ho gaya koi

Suno jab choo liya aanchal kisi ne to laga kaise
Laga khushbo ki barish me dhukon ko dho gaya koi

Suno is dard nagri ka koi to bhed batlao
Palat kar phir nahi aaya wahan par jo gaya koi

Batao hijar me katay hain roz o shab bhala kaise
Laga kanto py aankhain dhar k jaise so gaya koi

Bhala wo shaks pal bhar ko nazar ab kyun nahi aata
Suno milne ki khowish me kabhi ka kho gaya koi

Post a Comment

0 Comments